Hijar mosam mein ye barish ka brasna kesa?
Ik sehra se samandar ka guzarna kesa?
[ Part 1 ] [ Part 2 ] [ Part 3 ] [ Part 4 ] [ Part 5 ]
Ae mere dil na pareshan ho tanha ho kar
wo tere sath chala kab tha bicharna kes?
Log kehtay hen gulshan ki tabahi dekho
men to viran sa jangal tha, ujadna kesa?
Dekhne mein to koi dard ni, dukh b nahi
phir ye ankhon mein ansuon ka ubharna kesa?
Bewafa kehney ki jurrat b na karna usko
us ne iqrar kia kab tha, "mukarna kesa"
No comments:
Post a Comment